Tuesday, April 27, 2010

ECSTASY


Kya din the vo..............
June ki garmi mein vo tapti hui chhat,
Phr bhi thi umang puri jb utate the hum patang.
Vo gudde gudiyon ka khel,Jab hota tha apas mein dono ka mel,
baarati bankar jate the hum sabhi,khub mauj masti krte the
hum sbhi.
Vo mitti ke bartano mein chai banana,vo jhoot mooth k ghar basana,
vo tayar ka jhula,vo cardboard ka ghar,in sab bejan cheezon mein bhi lagta tha apnapan.
Vo apas ke jhagde,vo ruthna manana,vo kancho ka khel ya phr khud ko sajana.
Vo bacpan ka PYAAR,jiske liye jaan bhi kurbaan thi yaar,
vo todna uske liye phul roz chori se,aur dkhna usko chup k roz khidki se.
Vo naye naye kapde pehan kr sbko dikhana,khud apne tarifo k pul bandhna.
vo baarish k dino mein chaton par nahana,aur kagaz k panno ki naav banana,
vo jhumna, nachna,gana us mausam mein,aur ho jana bimaar thik aglE din se.
Vo ma ki daat ka koi asar na hna,har roz koi na koi cheez khona.
vo samjhana MA ka pyar se,ki jo bhi kaam kro,kro use dil laga ke.
Vo nani ki kahaniyan jisme hti thi raja ki kayi raaniyan,yaad hain aj bhi.
vo sunati thi bade prem se vo kahani,aur pata nhi kb lag jati thi ankh hmari.

VO SAPNEY DKHNA DIN MEIN HAR ROZ,
AJ BANNNA HAI YE TO KAL KUCH AUR.
Ye "yaadein" le ati hain chehre par ek choti si hasi,
Kyunki ye sab yaadein judi hain hmse kahin na kahin.
aur kisi ne sach hi to kaha hai.......
"JUDAI EK AISA GHAAV HAI JO BHARA NHI JA SKTA,
AUR YAADEIN AISA KHAJANA HAI JO CHURAYA NHI JA SKTA."

2 comments: